17 Nov 2021

Periods Mein Pet Dard Ko Kaise Kam Kare?

Periods ke time ladkiya aksar pet mein dard experience karti hai, kuch ladkiyo ke liye ye pain kamm aur jhelne layak hota hain, aur kuch ke liye is pain se deal karna bahut mushkil hota hai.


Periods mein pet dard aksar ladkiyon ki lifestyle mein changes la sakta hain. Pet dard ke saath saath periods mein lower back aur inner thighs mein bhi dard hota hai.


Periods ke waqt, garbh ke andar ki muscles baar baar sikudti hai aur relax hoti hain jiski wajah se ladkiya periods mein pet dard experience karti hain, jise hum cramps bhi kehte hain.


Agar tumhare periods mein pet dard bahut zyada ho raha hai toh aise mein ek lady doctor se consult karna chahiye. Mild aur moderate cramps ko kam karne ke liye ye tips follow karein:


  1. Garam Pani Se Sikai:

Heat muscles ko relax karne mein help karti hain, blood flow improve karti hain, aur tension release karti hain, jise periods mein hone wale pet dard se aaram milta hai. Garam pani ko hot water bottle mein daal kar sikai karne se ya heating pad use karne se period cramps kamm ho sakte hai.


  1. Exercise:

Periods mein pet dard experience karte hue exercise ka khayal kisi ke bhi zehen mein nahi aata par exercise muscle relax karne mein help karti hain aur uske saath hi pain relief bhi karti hain. Light exercise jaise yoga, walk karna, ya light stretching karne se period cramps mein bahut farak padta hai.


  1. Avoid Caffeine Aur Salty Foods:

Agar aap soch rahe hain ki periods mein kya nahi karna chahiye toh periods ke time par kuch khane ke item avoid karne chahiye jaise ki caffeine, namkeen khana, alcohol, fatty food, ya carbonated drinks jaise ki coke ya pepsi. Ye khane ke item bloating aur water retention karte hain, inko periods ke time avoid karne se pet dard kam ho sakta hai.


  1. Massage:

Abdomen area ko 20 minutes tak massage karne se period mein hone wala pet dard kam ho jata hai aur overall stress bhi kam ho jata hai. Iss massage ke saath aromatherapy use karna zyada beneficial ho sakte hain. Essential oils jaise lavender aur peppermint periods pain ko kam karne mein help karte hain.


  1. Stress Kamm Karna:


Stress cramps ko worse kar dete hain. Meditation, yoga, deep breathing jaise stress relief techniques physical ke sath sath mental health ka bhi dhyan rakhte hain. Ye techniques sirf aapke cramps ko kamm nahi karegi balki aapko mentally bhi relax karegi aur peaceful rakhegi.


  1. Lady Doctor Se Consult Karna:


Ek lady doctor yani ki lady gynecologist se periods se judi kisi bhi problem ke liye consult karna chahiye bina kisi hichkichahat ke. Agar tumhare period mein pet dard ki wajah se tum apni day-to-day activities nahi kar pa rahi aur bahut zyada pain experience kar rahi ho toh tumhein online lady doctor se baat karni chahiye.


Agar tum kisi lady doctor se consult karke sahi information lena chahti ho toh yaha click karke apne sabhi sawalo ka sahi jawab pa sakti ho.


No comments:

Post a Comment